mar mitaa hai ab talak har aashiq, deewana mera
kayi zubaanon se guzra har lafz-o-afsaana mera
samajhne ki koshish na karni chaahi kisi ne lekin
kaise hua tha bairi har ik khwaab, begaana mera
maana zindagi guzaari jhoothe jalwon ki taraj par
masti mein dooba choota hai har weerana mera
han ho chali ek saanjh paar, akhiri padav hai ye
maano rasiya, bhool jao duniya, bahaana mera
tumne tode hain dil par pyaas bujhi kahan hogi
aao chhaliya, basta hai yahan maikhaana mera
aaj shaam jhoomenge jaise parwaana-o-shama
'Noor' ki saanson mein 'Viti,' bajta taraana mera...
No comments:
Post a Comment